Posts

Showing posts from 2017

Allama Iqbal Sher O Shayari

jis   khet   se   dahqāñ   ko   mayassar   nahīñ   rozī us   khet   ke   har   ḳhosha-e-gandum   ko   jalā   do

Allama Iqbal Sher O Shayari

hazāroñ   saal   nargis   apnī   be-nuurī   pe   rotī   hai baḌī   mushkil   se   hotā   hai   chaman   meñ   diida-var   paidā

Allama Iqbal Sher O Shayari

guzar   jā   aql   se   aage   ki   ye   nuur charāġh-e-raah   hai   manzil   nahīñ   hai

Allama Iqbal Sher O Shayari

dil   se   jo   baat   nikaltī   hai   asar   rakhtī   hai par   nahīñ   tāqat-e-parvāz   magar   rakhtī   hai

Allama Iqbal Sher O Shayari

baaġh-e-bahisht   se   mujhe   hukm-e-safar   diyā   thā   kyuuñ kaar-e-jahāñ   darāz   hai   ab   mirā   intizār   kar

Allama Iqbal Sher O Shayari

apne   man   meñ   Duub   kar   pā   jā   surāġh-e-zindagī tū   agar   merā   nahīñ   bantā   na   ban   apnā   to   ban

Allama Iqbal Sher O Shayari

anokhī   vaz.a   hai   saare   zamāne   se   nirāle   haiñ ye   āshiq   kaun   sī   bastī   ke   yā-rab   rahne   vaale   haiñ

Allama Iqbal Sher O Shayari

achchhā   hai   dil   ke   saath   rahe   pāsbān-e-aql lekin   kabhī   kabhī   ise   tanhā   bhī   chhoḌ   de

AHMAD FARAZ Shayari

aañkh   se   duur   na   ho   dil   se   utar   jā.egā vaqt   kā   kyā   hai   guzartā   hai   guzar   jā.egā

AHMED FARAZ POETRY, GHAZALS & SHAYARI

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain So Us Ke Shahar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain.. .... Silsile Tod Gaya Woh Sabhi Jaate Jaate Silsile Tod Gaya Woh Sabhi Jaate Jaate Warna Etne To Marasim They Ke Aate Jate.. .... Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri Ese Khabar He Na Thi, Khakh Kimiya Thi Meri.. .... “Faraz” Ab Koi Souda Koi Junoon Bhi Nahi “Faraz” Ab Koi Souda Koi Junoon Bhi Nahi Magar Qaraar Se Din Kat Rahe Hon Yun Bhi Nahi.. .... So Jao Humary Dil Ky Os Konay Main So Jao Humary Dil Ky Os Kony Main Faraz Jahan Hum Apni Sanson Ko Bi Jany Ki Ajazat Nhi Daity .. .... Bewafa ne hamare Bewafa Ne Hamare Zakham Ka Kuch Youn Ikaj Kya Faraz  Marhan Bhi Lagaya To Khanjar Ki Nouk Se.. ....

Mirza Ghalib Sher o Shayari

Image
Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya, Dard Ki Dawa Payi Dard Be Dawa Paya. इश्क से तबियत ने जीस्त का मजा पाया, दर्द की दवा पाई दर्द बे-दवा पाया। Aata Hai Daag-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumaar Yaad, Mujhse Mere Gunah Ka Hisaab Ai Khudaa Na Maang. आता है दाग-ए-हसरत-ए-दिल का शुमार याद, मुझसे मेरे गुनाह का हिसाब ऐ खुदा न माँग। Aaya Hai Be-Kasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib, Kiske Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad. आया है बे-कसी-ए-इश्क पे रोना ग़ालिब, किसके घर जायेगा सैलाब-ए-बला मेरे बाद। Teri Wafaa Se Kya Ho Talafi Ki Dahar Mein, Tere Siwa Bhi Hum Pe Bahut Se Sitam Hue. तेरी वफ़ा से क्या हो तलाफी की दहर में, तेरे सिवा भी हम पे बहुत से सितम हुए।

Sher O Shayari

"फितरत किसी की...तू ना आजमाया कर जिंदगी... हर शख्स अपनी हद में...बेहद लाजवाब होता है।"

"अल्लामा इकबाल" Shayari

सजदा-ए-इश्क़ हो तो "इबादत" मे "मज़ा" आता है. खाली "सजदों" मे तो दुनिया ही बसा करती है.

Sher o Shayari

Mazaa Mohabbat Ka Lena Hai, To Kisi Se Bicchad Ke Dekh... . . Tadap Ke Dekh, Taras Ke Dekh, Khud Ko Kuchal Ke Dekh.!!

Mother's day Special Shayari Of Ahmed Faraz

Ek Umr Se Meri Maa Nahi Soyee 'Faraz' Maine Ek Baar Kaha Tha Mujhe Dar Lagta Hai

Aap ka etibar kaun kare DAGH DEHLVI Sher O Shayari

aap kā e'tibār kaun kare roz kā intizār kaun kare zikr-e-mehr-o-vafā to ham karte par tumheñ sharmsār kaun kare ho jo us chashm-e-mast se be-ḳhud phir use hoshiyār kaun kare tum to ho jaan ik zamāne kī jaan tum par nisār kaun kare āfat-e-rozgār jab tum ho shikva-e-rozgār kaun kare apnī tasbīh rahne de zāhid daana daana shumār kaun kare hijr meñ zahr khā ke mar jā.ūñ maut kā intizār kaun kare aañkh hai tark-e-zulf hai sayyād dekheñ dil kā shikār kaun kare va.ada karte nahīñ ye kahte haiñ tujh ko ummīd-vār kaun kare 'dāġh' kī shakl dekh kar bole aisī sūrat ko pyaar kaun kare